Pages

Monday 8 August 2011

Suitable Age For Marriage - Shaadi Kay Liye Behtarin Umar

Nikah aur shaadi kay hawaley sey mandarja zael baaton ko madd e nazar rakhna mufeed hoga.

Aurat kay liye shaadi ki behtarin umar 20 ta 25 saal hai. Iss doran mein paeda honay wali aulad zyada sehat mand hoti hai. Mard kay liye shadi ki behtarin umar 25 ta 27 saal hai waisey 30 saal tak bhi theek hai. Behtar yeh hai kay shaadi kay waqt larki ki umar 5 ya 10 saal choti ho kyun kay bachon ki paedaesh ki wajah sey aurat ka jism jald dhull jata hai, jiski wajah sey aurat kay jism mein kashish kam hojati hai. Agar biwi ki umar kam hogi to uski jismani kashish ziyada deyr tak barqarar rahey gi. Waisey bhi aurat jismani aur zehni lehaz sey mard ki nisbat jald mature ho jati hai. Iss liye larki ki umar kisi tarhan bhi larkay sey zyada nahi honi chahiyie.

Hazrat Muhammad(P.B.U.H) ney kisi doosrey kay nikah kay paigham per paigham bhaijnay sey manaa kar waya hai. Hazrat Abdullah bin umer sey riwayat hai kay Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay farmaya naa paigham bhaijay nikah ka koi tum mein sey apney muslim bhai kay paigham per. Hazrat Abu Huraira sey riwayat hai kay Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay farmaya kay koi shakhs apney bhai ki mangni pey mangmi naa karey. Apney sey pehley paigham bhaijnay wala ya iss jagah nikah karley ya iss jagah nikah ki baat cheet chordey. (Muslim, Bukhari)

Experts ka kehna hai kay engagement aur shadi kay beech mein ziyada lamba arsa nahi hona chahiyie. Ziyada sey ziyada 1 year ka gap ho. Agar beech mein gap ziyada hoga to donon specially mard ziyada frustration ka shikar hojata hai

No comments:

Post a Comment