Pages

Monday 8 August 2011

Suitable Age For Marriage

Shaadi kay hawaley sey chund cheezon ko malhooz-e-khatir rakhna mufeed hoga aurat kay liye shaadi ki behetreen umar 20 ta 25 saal hai iss doran mein paeda honey wali aulaad sehat mand hoti hai, mard kay liye 25 ta 27 saal hai waise 30 saal tak bhi theek hai, behter yeh hai shaadi kay waqt aurat ki umar mard se 5 ta 10 saal choti ho kyun kay bachon ki paedaesh ki wajah sey aurat ka jism jald dhal jata hai jiski wajah sey aurat mein kashish kam ho jati hai, agar biwi ki kam hogi to uski jismani kashish zyada der tak barqaraar rahey gi. Waisey bhi aurat jismani aur zehni le'haz sey mard ki nisbat jald mature ho jati hai larki ki umar kisi bhi tarah larkey sey zyada nahin honi chahiyie.

Mangni aur shaadi kay darmyan zyada lamba arsa nahin hona chahiyie, zyada sey zyada ek saal ka waqfa ho agar darmyani waqfa zyada lamba ho to donon khusoosan mard shadeed jhunjhalahat ka shikar ho jata hai. ki date taey kartey waqt haez (menses) ka bhi zaroor dhayan rakha jaey aisa na ho kay shaadi kay ek aadh din baad maahwaari shuru ho jaey, iss sey khawand shadeed jismani tanau ka shikar hoga le'haza shaadi ki date maahwaari kay 8 din ba'ad ki rakhi jaey taa kay donon mian biwi mubashirat sey bharpoor lutf andoz ho sakein. Haez (menses) kay foran ba'ad aurat kay jinsi jazbaat amooman madh'dham par jatey hain inn dinon iski tabyat mein chirchira pan, afsurdagi aur bey chaeni paeda ho jati hai.

Shaadi dhoom dhaam sey honi chahiyie taa kay har kisi kay ilm mein ho kay 'uski' shaadi ho gaee hai. Irshad-e-nabvi hai kay :"Nikah ka ailaan masjid mein karo aur iss per duf peeto (kay khoob ailaan ho)" (tirmazi)

No comments:

Post a Comment