Pages

Thursday 11 August 2011

Stop Negative Thinking

40. Zindagi ranjishon aur tuu takaar sey kabhi free nahin ho sakti ba'az auqaat guzrey huey naa pasandeeda waqeaat saalon ba'ad bhi insaan ko pareshan kartey hain inn naa pasandeeda waqeaat kay asraat ko aap aasani sey khatam kar sakti hain. Iss kay liye mandarja zael mushqein mufeed sabit hongi

Mushq no. 7

  • Kisi pursukoon jagah aaraam sey beth jaein jism ko bilkul dheela chor dein aankhein bund kar kay 3 lambey saans lein.
  • Ab iss naa pasandeeda waqae ki film apney dimagh mein chalaein aur apney ehsaasaat note karein phir aankhein khol dein.
  • Iss naa pasandeeda waqae ki film ko dobara apney dimagh mein chalaein iss kay sath hi koi mazahiya gana maslam 'kinney kinney jana billu dey ghar' waghaera shamil kar lein gaaney ki aawaz taez ho. Ek dafa dekhney kay ba'ad aankhein khol dein iss tarah 5 sey 10 baar iss waqaey ko taez mazahiya mouseeqi kay sath dekhein har baar dekhney kay ba'ad aankhein khol dein.
  • Aakhir mein iss waqae ko dobara zehen mein laein ab woh aap ko disturb nahin karey ga agar woh ab bhi pareshan kar raha hai to 5 baar mazeed dohraein.

Mushq no. 8

  • Ab pehley ki tarah pursukoon jagah beth jaein aankhein bund kar lein teen lambey saans ley kar jism ko relax karein.
  • Ab apney dimagh mein iss naa pasandeeda waqaey ki film chalaein apney burey ehsaasat ko note karein phir aankhein khol dein

No comments:

Post a Comment