Pages

Monday 8 August 2011

Sexual Life For Sexuality

Bharpoor

ko bahal rakhney kay liye bharpoor jinsi zindagi bey hud mufeed hai agar aap sex sey baqaida lutf andooz hotey hain to tanau (erection) sey mutaaliqa sharyanein, tissues aur sense sehat mand rehtey hain. Jab bhi mubashrat (intercourse) ki jaati hai to poorey jism mein blood ki raftar tez hojaati hai, jo amomi aur jinsi sehat kay liye bey hud mufeed hai. Jawani mein aap jitnaa ziyada sex karein gai burhapey mein aap kay zakar kay tissue utnay hi sehat mand hungai. Maahireen ka khayal hai ka 50 saal ki umar tak week mein 1 or 2 times lazmi jinsi amal sey lutf andooz hun. 50 year kay baad regular sex ki ziyada zaroorat hai. Regular sex jismani aur jinsi sehat kay liye bey hud mufeed hai. Iss sey fard pursukoon hota hai, tension kam hoti hai. Baaz researchiss sey yeh bhi maloom hua hai ka sex dard khusoosan sir dard ko bhi kam karta hai. Mubashrat (intercourse) zakar ko working condition mein rakhta hai.

Manshiyat

Manshiyat sey mukammal perhaiz karein. En mein kuch brain ko senseless kar kay mubaashirat (intercourse) kay waqt ko taweel karti hain. Magar kuch arsey baad yeh ko kamzor bul kay khatam kar deti hain jis ki wajah sey fard ko tanau (erection) nahi hota ya mukammal nahi hota jis ki wajah sey jinsi amal naa mumkin hojata hai.

No comments:

Post a Comment