Pages

Thursday 11 August 2011

Sex Positions

Iss surat mein kisi bhi tariqey ko seekhna bohut aasan ho jata hai iss ki behetreen surat yeh hai kay pehley donon mian biwi kitab sey kisi ek tariqey (maslan tariqa no. 15) ko achi tarah parh aur samajh lein. Iss kay ba'ad donon alaehda alaehda tasawwuraat mein iss tariqey ki mushq karein kaee baar aur phir amli tor per isey istaemaal karein har naee cheez seekhney ki tarah shuru mein kuch mushkil paesh aaey gi aur ghaltiyan bhi hongi magar musalsal istaemaal se ghaltiyan khatam ho jaeingi aur aap inn tariqon kay mahir ban jaeingey.

Shuru mein khayal tha kay khawateen ki kitab mein inn tariqon ko shamil na kya jaey kuch zyada munasib aur acha nahin lagta magar ba'ad aza'n ehsaas hua kay khawateen ki la ilmi ki wajah sey mubashrat mein amli mushkilaat paesh aati hain maslan khawand koi khaas tariqa istaemaal karna chahta hai magar chu'n kay biwi ko iska ilm nahin le'haza woh ta'awwun nahin kar paati khusoosan agar tariqa kuch mushkil hai. Jis sey donon budmaza hotey hain waisey bhi yeh ek scientific haqeeqat hai kay koi mushtarka amal/ kaam uss waqt tak achey tariqey sey anjaam nahin diya ja sakta jab tak sab shurka'a ko ilm nah un kay kya aur kaisey karna hai yehi soch kar iss hissey ko kitab mein shamil karna zaroori mehsoos hua.

Khawateen ko iss cheez ka ilm hona chahiyie kay Quran o sunnah ki roshni mein mubashrat ka har tariqa ja'ez hai jab kay dakhool faraj mein ho iss hawaley se islam mein do cheezein qat'aee haram hain

1. Maq'ad mein mubashrat 2. Haez-o-nifaas ki haalat mein mubashrat

No comments:

Post a Comment