Pages

Thursday 11 August 2011

Respect The Views Of Others
  • Aankhein bund kar kay ab iss waqaey ko dobara apney zehen mein laein to burey asraat khatam ho chukey hongey agar khatam na hun to frame badal kar dekhein yani koi aur frame lagaein.

41. Ba'az auqaat mian biwi ya saas bahoo mein kisi baat per ikhtilaaf ho jata hai to phir tuu takaar hoti hai (behter to yehi hai kay ghar mein khushgawar mahol ko qayem rakhney kay liye ma'amooli ikhtilaf-e-ra'ey ko nazar andaz karein) iss surat e haal mein har fard apney nukta-e-nazar ko durust samajhta hai aur doosrey kay nukta e nazar ko samajhney ki koshish nahin karta. Ba'az auqaat humara nukta e nazar durust nahin hota magar humein ehsaas nahin hota agar hum iss ma'amley ko doosrey kay nukta-e-nazar sey dekhein to humein ehsaas hoga kay unn ka nukta-e-nazar bhi ghalat nahin doosrey kay nukta-e-nazar ko janney kay liye mandarja zael mushq sey faeda uthaya ja sakta hai.

Mushq no. 10

  • Kisi pursukoon jagah aaraam sey beth jaein teen lambey saans lein aankhein bund karlein.
  • Tasawwur karein kay aap kay saamney ek screen hai iss screen per iss waqae ko apney nukta-e-nazar sey dekhein.
  • Ab isi screen per iss waqaey ko doosrey fard kay nukta e nazar sey dekhein iss tarah tasawwur karein kay iss waqaey ko doosra muta'alliqa fard isi screen per dekh raha hai aap bhi uss kay peechey khari hain aap ki thori uss kay kandhey per hai ab aap iss waqaey ko doosrey fard kay nukta-e-nazar sey dekh rahi hain ya aap uss kay ander daakhil ho kar bhi uss kay nukta-e-nazar sey uss waqaey ko screen per dekh sakti hain.

No comments:

Post a Comment