Pages

Thursday 11 August 2011

Preparation Of First Intercourse

Halka sa makeup karlein, shaam ko khana halka aur jaldi kha lein kaam sey wapsi per mian ka muskuratey huey pur josh istaqbaal karein usey bataein kay aap ney uss kay intezar mein saara din bechaeni mein guzara. Shaam ko ghusl karlein, tooth brush karna na bhoolein apney jism aur libaas ko khawand ki pasand ki khushboo sey mu'atter karein, kamrey kay mahol ko khoobsurat aur purkashish banaein (preparation of intercourse) waley hissey ko ek baar phir parh lein).

Mubashrat sey kam az kam 20 ta 30 minute pehley mohabbat kay khel ( sey lutfandoz hun (tafseel kay liye waley hissey ka muta'alla karein) hatta kay aap ki faraj mein chiknaahat (lubrication) paeda ho jaey phir mubashrat kay tariqa number 1 ko istimaal kartey huey mubashrat karein, behter hai kay mian ka zakar bhi chikna ho iss tarah dakhool mein aasaani hogi aap ki taangei'n khuli magar zyada ooper na hun dakhool kay waqt apney jinsi lubo'n ko kholein aur zakar daakhil karney mein khawand ki madad aur rehnumaee karein. Iss kay liye zaroori hai kay aap ko khud bhi ilm ho kay faraj kahan hai, kuch aurtein dakhool kay waqt parda e bakarat phatney per kuch dard mehsoos karti hain aur kuch khoon bhi nikalta hai magar uss kay sath bey panaah lutf bhi aata hai agar parda e bakarat pehley hi phata hua hai to takleef kam hoti hai, parda phatney ki surat mein dobara foran mubashrat na karein, zakhm ko ek aadh din kay liye mundamil honay dein amooman pehli mubashrat donon mian biwi kay liye kuch takleef deh hoti hai lekin agar khawand zakar ko chikna karley, tez jhatkey na lagaey aur aap jism khusoosan faraj kay baerooni muscles ko dheela chor dein to amooman mubashrat mein takleef nahin hoti. Pehli mubashrat ko aasaan bananey aur khauf ko khatam karney kay liye chund baar tasawwur mein mubashrat karlein iss sey aap ka khauf khatam ho jaey ga aur mubashrat aasaan hogi.

No comments:

Post a Comment