Pages

Monday 8 August 2011

Preparation For Intercourse - Mubashrat Kay Aadab

Friday kay din (apni biwi kay liye) ghussul ka saman karey aur khud ghussul karey to isskay liye har qadam per sal bhar kay amal ka badla hai goya woh sal bhar rozai sey raha aur inki raton ko qayam kiya. (Mashkawa)

Aik doosri hadees hai " jo koi Juma kay din janaabaat ka ghussul karta hai (Jumein ki naamaz kay liye) sawairai nikalta hai to goya usnay ounth ki qurbani paesh ki. (Bukhari) Behtar hai kay next day off ho ta'kay aram kara ja sakay.

2. Mubashrat (intercourse) sey 1 yeh 2 hours pehley coffee, tea, coke wagbaala aur ziyada paani nahi piya jaey. Yeh cheezain pisshab awar hain jo aksar mardon kay liye prematore ejaculaation ka sabab banti hai.

3. Mubashrat (intercourse) kisi bhi waqt kara ja sakta hai. Magar Hazrat Muhammad(P.B.U.H) aksar rat kay pechley pehar mubashrat farmaatey thai. Iss waqt amooman mard ziyada pur sukoon hota hai jiski wajah sey tanau (erection) ziyada hota hai aur mard jaldi discharge nahi hota. Baz maahireen kay naazdeeq mubashrat (intercourse) kay liye morning 10 bajaey ka waqt ziyada munasib hai. Kyun kay iss waqt testosteroneki production mein ezafa hojata hai jiski wajah sey mard ka tanaau ziyada sukht hota hai.

4. Khanay kay foran baad mubashrat (intercourse) nahi karna chahiyie, bul kay 2 yeh 3hours kay baad uswaqt kara jaey jab khanaa digisst ho chukka ho. Khanaa pait bhar kay naa khaya jaey aur naa hi ziyada oily ho bul kay soft diet ho yeh cheezain insan kay tanau (erection) ko manfi tor per muta'assir karti hai.

5. Khauf, pareshani, stress, tension aur thakan mein mubashrat (intercourse) nahi kari jaey. Yeh cheezain tanau (erection) ki dushman hai. Inki wajah sey bohut sey logon ko tanau (erection) ka masla hojata hai. Mubashrat (intercourse) kay waqt donon ko zehni aur jismani tor per bohut pursukoon hona chahiyie.

No comments:

Post a Comment