Pages

Monday 8 August 2011

Pious Woman In Islam

(aisi aurat) Jisko woh jo hukum dey to woh uss per foran amal karey uski taraf dekhey to woh uska dil khush kardey, usko qasam dey to woh qasam ko poora karey aur woh ghayab ho to woh apni asmat aur uss kay maal ki hifazat karey (ibn-e-maja) Hazrat Muhammad ney ek aur moqa per farmaya " Uss zaat ki qasam jis kay qabzey mein meri jaan hai, jo shakhs bhi apni biwi ko bister per bulaey aur woh inkaar karey to Aasmaan wala uss sey uss waqt tak naraz hota hai jab tak woh apney shohar ko razi na karey" (bukhari, muslim) Ek doosri hadees mein irshad hai "shohar jab apni biwi ko apney bister per bulaey aur woh aaney sey inkaar kar dey to farishtey subah tak uss per la'anat kartey rehtey hain." (bukhari) Ek aur jagah irshaad farmaya : "shohar jab apni biwi ko zaroorat kay liye bulaey to woh foran us kay liye hazir ho jaey, go woh tanoor per bethi ho(roti paka rahi ho)" (tirmazi).

Allah kay nabi ne biwi ko khawand ki ijazat kay baghair nafli namaz aur nafli rozey rakhney sey mana farmaya hai. (bukhari) Hazrat Muhammad ney aurat ko dunya ki behetreen mata'a qarar diya hai, irshaad hai kay sari dunya mata'a hai aur dunya ki behetreen mata'a ne farmaya kay jo aurat paanch waqt ki namaz parhti rahey, ramazan kay rozey rakhey, apni aabroo bachaey yani paak daaman rahey aur apney shohar ki ta'abedaari aur farma'n bardaari karti rahey to usey ikhtiyar hai kay jis darwazey sey chahey jannat mein chali jaey. Ek aur jagah huzoor ney irshaad farmaya kay jo aurat iss haalat mein mari kay shohar razi tha woh jannat mein daakhil ho gaee, (tirmazi) ta'ahum gunah kay kaam mein aurat khawand ka hukum na maney gi.

No comments:

Post a Comment