Pages

Thursday 11 August 2011

Pehli Mubashrat

(First Intercourse)

Humarey haan aksar yeh baat ma'aroof hai kay shaadi ki pehli raat mubashrat honi zaroori hai warna valima ja'ez na hoga haala'n kay Quran o sunnah ki roshni mein iss baat ki koi haqeeqat nahin humarey haan amooman nikah raat ko bohut late hota hai aur dulhan ko ghar pohonchtey pohonchtey raat kay do, dha'ee baj jatey hain iss doran donon thak kar chuur ho chukey hotey hain pehli raat donon thakawat, khauf, ghabraahat, nervousness aur hichkichahat ka shikar hota hai, khusoosan agar mian biwi pehley sey ek doosrey sey waqif na hun humarey haan aksar aisa hi hota hai larki apna ghar chor kar naey ghar aur naey logon mein aati hai usey khauf hota hai kay na janey susraal kay log kaisey hongey, khawand ka ravaiyya kaisa hoga. Doosri taraf larkey ko sex kay hawaley sey nakaami ka khauf hota hai kay aayah woh mubashrat kar sakey ga ya nahin larki ko bhi mubashrat ki takleef ka khauf hota hai iss khauf aur tashweesh ki wajah sey aurat ki faraj ka dahaana tung ho jata hai aur faraj kay ander chiknaahat ki kami ho jati hai, larka samajhta hai kay agar iss ney pehli raat mubashrat na kii to larki samjhey gi shayad mian iss qabil nahin haala'n kay jawani mein har mard jismani le'haz sey normal aur \ ka ahel hota hai albatta khauf aur zehni daba'u ki wajah sey ba'az auqaat tana tanau kay dushman hain, le'haza iss surat e haal kay paesh e nazar pehli raat sex ko zyada ehmiat hasil nahin honi chahiyie chuna'ncha pehli raat mubashrat na karna donon kay liye mufeed hai.

No comments:

Post a Comment