Pages

Monday 8 August 2011

Negative Thought Stopping

Agar aap ko apney saathi kay maazi kay na khushgawar ravayyey kay hawaley sey khayalaat pareshan kartey hain to inko rokney kay liye aankhein bund kar kay lafz 'stop' buland aawaz sey kahein agar aap akeli nahin to tasawwur karein kay aap ek awaz ko lafz 'stop' buland awaz sey kehtey huey dekh rahi hain iss surat mein aap ko buland aawaz sey 'stop' kehney ki zaroorat nahin iss tareeqey sey manfi sochein ruk jati hain.

Iss tariqey ki aap iss tarah bhi mushq kar saktey hain kay ek ghaer mufeed khayal zehen mein laein phir ya khud buland aawaz sey lafz 'stop' kahein ya phir ek awaz ko yehi lafz chilla kar kehtey huey tasawwur karein aur aankhein bund rakhtey huey ek lamba saans lein aur phir tasawwur ki madad sey apney aap ko maazi ki kisi khubsurat aur pursukoon jagah ley jaein ya phir aap lafz 'stop' kay nishan ka tasawwur karein ya aap apney dimagh mein jo awaz sunti hain iss ko kam kar kay off kardein ya awaz ko apney jism sey nikal kar duur faasley per kar dein, duur ley jaein. Agar yeh manfi sochein tasawwur ki surat mein aati hain jiss mein aap ka sathi aap sey badtameezi sey paesh aa raha hai to tasawwur ko dhundhla kardein, chota kar dein aur duur ley jaein iss kay asraat khatam ho jaein gey ek do baar karney sey yeh tasawwur dobara nahin ubhrey ga.

No comments:

Post a Comment