Pages

Monday 8 August 2011

More Methods Of Birth Control

yeh sab sey zyada mua'sser tariqa hai naakami ki sharah sirf 1.5 ta 5% tak hai aur naakami amooman pehley teen maah mein hoti hai. Agar iss kay sath foam ya condom istaemal kya jaey to kaamyabi ki sharah 100% hoti hai yeh humesha kisi maahir doctor sey rakhwaee jati hai, agar isey theek andaz sey na rakha ja sakey to phir yeh khatarnaak ho sakti hai. Iss sey rahem mein surakh ho sakta hai jo kay muhlik ho sakta hai, iss sey rahem mein infection bhi ho sakta hai iss tarah kay problem 10 ta 20% aurton ko ho saktey hain aisi surat amooman IUD rakhney kay foran ba'ad paeda hoti hai.

  1. Diaphragm ek makhsoos shakal ka rubber ka tukra hota hai jo faraj kay ander daakhil kya jata hai jo kay bacha daani kay mu'nh per aa jata hai yeh sperm ko bachey daani mein janey sey rokta hai isey mubaashirat sey 6 ghantey pehley daakhil kya jata hai aur ba'ad aza'n 6 ta 16 ghantey tak rehney diya jata hai. Agar isey andazey sey istaenal kya jaey to naakami ki sharah sirf 2% lekin agar isey munasib andaz sey istaemal na kya jaey to naakami ki sharah 18% tak barh jati hai. Iss kay burey asraat bohut kam hain behter hai kay isey zyada der na rakha jaey bul kay 6 ta 8 ghantey ander rahey.
  2. Yeh sperms ko maar detey hain inko faraj kay ander rahem kay mu'nh per lagaya jata hai. Mubashrat kay ba'ad 6 ta 8 ghantey rehna chahiyie. Inn mein cream aur jelly kam mu'asser aur foam nisbatan zyada mu'asser hai inki naakami ki sharah kafi zyada 25% tak hai

No comments:

Post a Comment