Pages

Monday 8 August 2011

Marriage - Shaadi - Nikah

"Aur tum mein jo be-nikah hun inkay nikah kardiya karo. Agar woh ghareeb hun to Allah apney fazal sey enko ghani kardeyga" (Al-Noor 32)

Allah kay naabi Hazrat Muhammad(P.B.U.H) nay farmaya:

"Aai naujawano'n ki jamat tum mein sey jo shadi ki isstetad rakhta ho to woh zaror shadi karey. Shadi naazar ko khoob jhukanay wali aur sharam gah ki hifazat karney wali hai aur jo shakhs shadi ki isstetad naa rakhta ho to woh rozai rakhai. Yeh rozai isski shawat khatam kardeyngai." (Bukhari)

Aik doosri hadees mein irshad hai

"Nikah meri sunnaat hai jisnay meri sunnaat per amal naa kara woh mu'nhjh sey nahi". (Ibn-e-Maja)

Shadi sey naa sirf nasl-e-insani ka silsila jari rehta hai bul kay iss sey insan ko lutf aur sukoon milta hai.

Allah ka irshad hai

"Uss ney tumharey liye tumhari jins sey biwiyan banaiin ta'kay tum unn kay paas sukoon hasil karo". (Al-Rome 21)

Shadi sey naa sirf insan ko sukoon hasil hota hai bul kay research sey maloom hua hai kay shadi shuda afraad ghaer shadi shuda logon ki nisbaat 50% kam bemariyon ka shikar hotey

No comments:

Post a Comment