Pages

Monday 8 August 2011

Low Libido Reasons - Lack Of Sexual Desire

Jab ek lamba arsa ek aurat musalsal jinsi itmenan-o-sukoon se mehroom rehti hai to woh shadeed uljhan ka shikar ho jati hai aur phir mazeed frustration sey bachney kay liye la sha'oori tor per uski jinsi khwahish kam aur ba'az auqaat khatam ho jati hai.

9. Hamal Ka Khauf (fear of pregnancy)

Ba'az auqaat aurat kisi wajah sey mazeed bachey nahin chahti maslan pehley hi kafi bachey hain ya aakhri bachey ki paeda'esh per aurat ko shadeed takleef ka saamna karna para, to iss surat mein amooman aurat ki jinsi khwahish bohut kam ho jati hai kay na mubaashirat ho gi na hamal hoga aur na hi bacha paeda karney ki takleef.

10. Maazi Kay Tulkh Waqe'aat (bad experiences of the past)

Ba'az auqaat aurat key zehen sey mazi kay saabqa tulkh waqe'aat maslan laraee jhagray, khawand ka nagawar ravayya aur purani beemari waghaera nahin nikaltey jo kay abhi tak la shaoor mein mojood hotey hain aur aurat ko tung kar rahay hotey hain jis ki wajah sey aurat ki jinsi dilchaspi aur khwahish kam ho jati hai.

11. Masbat Fawaed (positive benefits)

Ba'az auqaat iss masley ki wajah bari dilchasp hoti hai yani la shaoori tor per biwi khawand ko pareshani aur sharmindagi sey bachati hai maslan khawand ko tana'u ya sur'at-e-inzaal ka masla hai jis ki wajah sey woh jald manzil ho jata hai aur phir sharmindagi mehsoos karta hai aisi surat mein biwi ko na jinsi khwahish hogi na mubaashirat ho gi aur na hi khawand ko sharmindagi ka saamna karna parey ga.

No comments:

Post a Comment