Pages

Monday 8 August 2011

Low Libido Reasons - Lack Of Sexual Desire

Dilchaspi aur khwahish khatam ho jati hai iss tarah bachey ki paeda'esh, mulazimat ka khatima, kisi qareebi aziz maslan walaeden aur behen bhai ki wafat kay ba'ad amooman jinsi khwahishat kam ho jati hain. Ba'az beemariyon ki wajah sey aurat ka pistaan kaat diya jata hai ya rahem nikal diya jata hai yeh aurat kay liye ek sadma hai jo iss kay jinsi jazbaat ko manfi tor per muta'assir karta hai.

7. Mian Biwi Kay Kharab Ta'alluqaat (relationship problems)

Mian biwi kay aapas kay ta'alluqaat joray ki jinsi zindagi per asar andaz hotey hain agar aap ki jinsi khwahish mein kami ho chuki hai magar aap doosrey logon ko dekh kar jinsi tor per mushta'el hoti hain, inko dekh kar romantic mehsoos karti hain to aap kay masley ki wajah ba'hmi ta'alluqaat ki kharabi hai. Dil mein ek doosrey kay khilaf ghussa, ek doosrey per ilzam tarashi waghaera bharpoor jinsi ta'alluqaat mein bohut bari rukawat hain, thori bohut tuu takar to har ghar mein hoti hai magar jab yeh zyada ho jaey ya mustaqil surat ikhtiyar kar ley to phir iss tarah kay masa'el paeda ho jatey hain.

8. Jinsi Adum Itmenan (lack of sexual satisfaction)

Agar aap jinsi tor per apney khawand sey khush nahin to aap ki jinsi khwahish mein kami ki wajah yehi adum itmenan hai. Humeray haan khawateen ki jinsi khwahish mein kami ki sab sey bari wajah aurat ka jinsi adum itmenan hai. Jinsi itmenan hasil karney kay chund makhsoos tareqey hain agar khawand inn sey aagaah ho to adum itmenan ka masla paeda nahin hota. Humaray haan mard aur aurat donon inn tareeqon sey aagaah nahin jis ki wajah sey na khawand biwi ko mutma'en kar pata hai aur na biwi khud apney aap ko sukoon dey sakti hai.

No comments:

Post a Comment