Pages

Monday 8 August 2011

Love Marriage In Islam

Chuna'ncha irshad hai jab tum mein sey koi shakhs kisi aurat ko nikah ka paeghaam dey to usey dekh lena chahiyie kay aaya us mein koi aisi cheez hai jo us ko us aurat sey nikah ki raghbat dilaney wali ho. (abu daud)

Quran o sunnah donon sey ma'aloom hota hai kay shaadi pasand ki ho, larka larki ko achi tarah dekh ley iss tarah woh larki bhi larkey ko dekh ley gi magar donon ko alaehda milney ki ijazat nahin. (mishkaa't)

Hazrat Muhammad kay iss hukum ya sifarish kay larka, larki ko dekh leney ki hikmat ab jadeed nafsiyat kay ilm ki roshni mein waa'zeh tor per samajh mein aati hai . Tamam mahireen iss baat per muttafiq hain kay mard aurat ko us kay husn, zahiri shakl o surat aur jismani saakht ki wajah sey pasand karta hai taa'hum har fard ka husn ka mayar mukhtalif hota hai. Jab kay aurat zahiri husn aur shakl o surat ko zyada ahmiyat nahin deti bul kay aurton kay liye mard ka paesha aur mua'asharti maqam (status) mein markazi kirdaar ada karta hai. Le'haza agar larka larki ko dekhna chahey to iss per nabi ka hukum samajh kar amal kiya jaey aur larkey ko larki dekhney ka moqa'a diya jaey, humarey haan ajeeb munafiqat hai, larkiyaan sara din bazaron mein bey parda phirti hain aur unko har koi dekhta hai magar jab mangetar larki ko dekhney ki khwahish ka izhar karey to amooman isey ghaer akhlaqi harkat qarar dey kar inkaar kar diya jata hai.

Iss kay elawa sharee'at nikah kay muamley mein kifayat (humsari aur barabri) ko malhuz e khatir rakhna pasand karti hai yani nikah apney baraber aur hum palla logon mein ho donon khandaani, nasli, qaumi, maali aaur mua'asharti lehaz se baraber hun. Donon ek qabeeley se hun ya mukhtalif qabeelon se magar phir bhi hum palla hun.

No comments:

Post a Comment