Pages

Monday 8 August 2011

Intercourse Methods - Mubashrat Kay Tariqey

18. Mubashrat (intercourse) faraj mein hogi. Maqad mein haram hai. Hazrat Abu Huraira sey riwayat hai kay Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ney farmaya " Jo shakhs apni aurat ki maqad mein badfaeli karey woh mal'oon hai khuda iss ki taraf nazar rehmat aur shafqat sey nahi dekhta".(Abu Dawood, Tirmizi)

19. Aurton ka khayal hota hai kay zakar ko kab penetrate karna hai jabkay mard ko yeh pata hi nahi hota. Lehaza jab aurat kay jinsi jazbaat urooj per hun to woh mian ko dakhil karney ka isshara karey aur iss kay saath hi dakhool mein mian ko madad karey ta'kay iss ko dakhool mein problem naa ho. Iss kay liye woh zakar ko hath mein pakar kay faraj mein dakhil kar sakti hai. lekin agar aapko sur'at e inzal ka masla hai aur biwi kay hath laganay sey discharge ka khatra hai to biwi apkay zakar ko hath laganay kay bajaey apni aaza-e-makhsoosa (vulva) kay lips ko khol dey ta'kay ap aasani sey dakhil kar sakein. Biwi ki taraf sey cooperation aur guidance na karney ki surat mein bohut sey mard dakhool ki koshish mein bahir hi discharge ho jatey hain. Jis sey biwi ko shadeed frustration aur aapko sharmindagi hogi.

20. Aap mubashrat ) kay kam sey kam 4-5mein achi tarhan maharat hasil karley aur har bar mukhtalif method sey (intercourse) kareyn. Aik hi method ko bar bar use karney sey boriyat ho jaati hai aur aurat ki sex mein dilchaspi kam ho jati hai.

21. Islam mein haez (menses) kay dino mein mubashrat (intercourse) sey mana kara hai. Quran mein irshad hai " Haez mein aurton sey bachoo. Inn sey mubashrat naa karo jab tak woh paak naa ho jaein. To jab paak hojaein to iss kay pas iss jagah aao jiska Allah nay tumko hukum diya hai". ( Albaqrah 222) Haez (menses) mein intercourse) naa karney wali khawateen uterus kay cancer sey mehfooz rehti hain. Issi tarhan nifas mein bhi aurat sey mubashrat (mana hai. Child birth kay baad aurat ko jo blood aata hai woh nifas kehlata hai.

No comments:

Post a Comment