Pages

Thursday 11 August 2011

In Laws And Marriage

Unhein apni zaat aur kaarnamo'n sey muta'alliq baatein karney per uksaaein yaad rakhein aap ka mukhatib aap kay masa'el ki nisbat apney masa'el, apni zarooriyat aur apni zaat mein hazar darja dilchaspi rakhta hai chuna'ncha unki baatein tawajjah sey sunein.

Unhein unn kay apney muta'alliq baatein karney per uksaaein aur ubharein. Unn kay pasandeeda mozouaat per baat karein aisey mozouaat jin mein unko khaas dilchaspi ho yani unki dilchaspi ki baatein karein.

Apni saas susar mein ahmiyat ka ehsaas paeda karein insaani fitrat ki sab sey bunyaadi khwahish apni zaat ko ahmiyat dena hai insaani fitrat ka sab sey gehra usool tehseen-o-ta'areef ki khwahish hai doosron kay sath wahi sulook karein jaisey sulook ki aap unn sey tawaqqa karti hain. Ji bhar kar unn ko daad dein dil khol kar ta'areef karein har shakhs apney aap ko bara bulkay bohut bara tasawwur karta hai har insaan mein kuch khoobiyan zaroor hoti hain unn kay ander unn khoobiyon ko talash karein phir eemaan daari kay sath jii bhar kar unki ta'areef karein, khuley aam daad dein logon kay samney ta'areef teen guna zyada mu'asser hoti hai. Humesha saas susar kay saamney unki zaat kay baarey mein guftugoo karein woh ghanton musalsal aap ki baatein sunein gi chuna'ncha unn ko ehmiyat ka ehsaas dilaein, dil sey unn ki ta'areef karein agar aap inn baton per amal karein gi to aap apney susraal mein sab sey pasandeeda shakhsiyat hongi.

48. Mard bunyaadi tor per aurat kay husn ka matwala hota hai ta'hum agar biwi bohut haseen hai magar uss kay sath bud khoo, nuk charhi, ehsaas-e-bartari ka shikaar, bud tameez, jhagralu hai to jald hi mian na sirf uss sey bey zaar ho jaey ga bulkay nafrat karney lagey ga.

No comments:

Post a Comment