Pages

Monday 8 August 2011

How To Improve Marriage - Tips

45. Biwi per kabhi naa cheekhein (shout). Yeh cheez relaationship mein zehar ghol deti hai, khas tor par logon kay samney to hargiz naa cheekhein, bul kay softly baat karein. Hazrat Muhammad (P.B.U.H.) ka irshad hai kay jo naram kalami karey ga woh qiyamat kay din merey bohut kareeb hoga. Behtar hai kay cheekhney wali baatein alaehdgi mein ki jayen.

46. Jab bhi wada karein to us ko poora karein. Aur jaldi poora kar dein, chahey woh kitna hi mamooli kyun naa ho. Iss sey relaations bohut khushgawar hote hain.

47. Donon mian biwi ghar mein saaf suthrey rahein. Ek doosrey ki pasand kay kaprey pehnein ta kay donon ek doosrey mein kashish mehsoos karein.

48. Mukhtalif researches sey pata chala hai kay woh couples jin ki shadiyan bohut khushgawar rahiin, jin kay ghar jannat ka namoona hain woh kam sey kam ek khana lazmi ek sath khatey hain. Lehaza aap bhi ek khana lazmi biwi bachon kay sath khaein. Bul kay kaee baar khaein to behtar hoga.

49. Hazrat Muhammad (P.B.U.H.) ney farmaya kay aap ko koi aurat attractive lagey aur aap kay jazbat mushta'el hun to foran ghar aaein aur apni biwi kay sath mubashrat (intercourse) kar kay relax ho jaein.

50. Koshish karein kay biwi ko hamesha hanste muskuratey face sey milein. Allah kay Rasool Hazrat Muhammad (P.B.U.H.) ney muskurahat ko sadqa qarar diya hai. Woh log jin kay face per smile hoti hai doosrey log unko dekh kar relax ho jatey hain.

No comments:

Post a Comment