Pages

Monday 8 August 2011

How To Improve Marriage - Tips

40. Raat ko ziyada der tak ghar sey baher naa rahein. Biwi kay soney sey pehley ghar aa jaein. Routine sey hatt kar kahin jana ho to uss ko bata kar jaein kay aap kahan ja rahey hain aur kab wapis aaien gey. Der ki surat mein ghar phone kar kay bataein. Yeh sab cheezein biwi kay sukoon ka ba'is hain.

41. Agar aap kisi doosrey shaher (city) gaye hain to Allah ke Rasool Hazrat Muhammad (P.B.U.H.) ka irshad hai kay ghar aanay sey pehley biwi ko inform karein. Aisa naa ho kay jab aap ghar aaein to biwi sogaee ho, tayyar naa ho ya shopping kay liye ghar sey bahir ho. Iss ko ghar mein na pa kar ya untidy dekh kar aap ka mood off ho jaye. Hazrat Muhammad(P.B.U.H.) ka hukum hai kay biwi mian kay aaney sey pehley naha kar tayyar ho jaye ta kay uss ko dekh kar mian ki saari thakan dur ho jaye.

42. Hadees hai kay jo insan ka shukariya ada nahi karta, woh Allah ka shukar ada nahi kar sakta. Ghar mein biwi ki mamooli khidmaat par bhi iss ka khoob shukriya ada karein. Iss sey aap kay bachon mein bhi thanks kehne ki achi adat aajaey gi.

43. Allah ney humein ek zuban aur 2 ears diye hain lehaza kam bolein aur ziyada sunein. Biwi ki baaton ko tawajjuh sey sunein. Uss waqt newspaper naa parhen, Tv naa dekhen, koi doosra kam naa karein, attention sirf us ki taraf ho. Biwi ko aap ka baatein sunnaa bohut pasand hai.

44. Ghar sey jatey huey biwi sey zaror milein, us ko alwidaee salam karein. Jab ghar aaein to sab sey pehley biwi ko talash karein. Iss ko salam kahein, kiss karein, hug karein. Iss sey mohabbat aur relationship mein khushgawar izafa hota hai.

No comments:

Post a Comment