Pages

Monday 8 August 2011

Give Importance To Wife - Biwi Ko Ahmiyat Dein

23. Biwi ki khamiyan talash naa karein. Allah aur uske Rasool Hazrat Muhammad(P.B.U.H.) ne iss sey sakhti sey manaa kiya hai. Har insan mein khamiyan mojood hoti hain, aap bhi khamiyon sey paak nahi.

24. Biwi sey shikayat karein, us ko ilzam naa dein. Shikayat bhi aleydgi mein karein. Biwi kw bajaey iss ke kam par tanqeed karein. Maslan agar salan kharab tha to us ko baatein kay aj salan pehle ki tarah acha nahi tha, yeh naa kahen ke tumhain khana pakana hi nahi aata. Kam par tanqeed karte waqt lehja soft rakhen. Baat start karne sey pahle ek lamba sans len phir sukoon sey baat karein. Shikayat aur apne jazbaat ka izhar karne ke liye "aap" aur "mein" ka word use karein. "Aap hamissha late ate hain" ke bajaey yeh kahen kay "Jab aap zara late ate hain to mein pareshan aur fikarmand ho jata hun. Iss sentence mein tanqeed nahi hai.

25. Duniya mein har insan sey ghulltiyan hoti hain. Aap ki biwi sey bhi hungi aur aap sey bhi. Biwi ko isski ghulltiyon par issharatan mutawaja karein.

26. Biwi kay character par shak naa karein. Yeh gunah hai, haan, agar yeh proof ho jaye kay isska character kharab hai to phir suitable karwai karein. Apnaa character bhi theek rakhen.

27. Biwi sey yeh expect naa karein ke woh aap ke mind ko read kar legi, aap ke jazbaat ko jaan legi. Maslan issko pata chull jayega ke aap ki tabiyat kissi hai? Aap kiya chahte hain? lihaza issko khul kar baatein, izhaar karein, baat karein. Baat bilkul clear aur direct ho.

No comments:

Post a Comment