Pages

Sunday 7 August 2011

Ghusl e Janabat

22. Jaiysey hi aapka zakar biwi ki faraj mein dakhil ho ghussul wajib hojata hai chahey ap discharge ho yeh nahi.(Tirmizi)

23. Mubashrat (intercourse) kay baadwajib hai. Ghusl sonay sey pehley afzal hai. Wazoo yeh tayamu'nhm bhi kara ja sakta hai. Yeh sonay sey pehley organ ko saf karliye jaey aur ghussul subha ko karliye jaey. Allah kay naabhi Hazrat Muhammad(P.B.U.H) kabhi kabhi paani use karey bagbaal sojaatey aur subha fajer sey pehley ghussul farmaatey. (Bukhari, Muslim, Ma'uta Imam Muhammsd, Nissey)

Albatta agar aap mubashrat (intercourse) kay baad aur ghussul sey pehley kuch khanaa penaa chahey to wazoo karna afzal hai. (Bukhari, Muslim)

24. Agar ap doosri baar mubashrat (intercourse) karna chahey to organ dhunay kay baad wazoo karliye jaey yeh kamsey kam organ ko hi dho liye jaeyi. Yeh sab kuch Hazrat Muhammad(P.B.U.H) sey sabit hai. (Muslim, Mota Imam Malik)

25. Mubashrat (intercourse) mein discharge kay waqt mard ki sari mani (semen) khali nahi hoti bul kay kuch mani (semen) pashab ki naali mein rah jaati hai. Isey pisshab ki naali mein infection ho sakta hai. Lehaza mubashrat (intercourse) kay baad pisshab karna sehat kay usulon kay mutabiq ek faidey mand cheez hai.

26. Aam raton ki tarhan ap ramzan ki raton mein bhi mubashrat (intercourse) sey lutf andooz ho saktai hai. Quran mein irshad hai "Tumharey liye rozon kay samanay mein rat ko apni biwiyon kay pas janaa halal kardiya . Jo lutf Allah nay tumharey liye jaeyz kardiya ussey hasil karo." (


No comments:

Post a Comment