Pages

Monday 8 August 2011

Birth Control - Zabt e Wiladat

Zabt e Wiladat


Aulaad Allah Ta'ala ki ek bohut bari naemat hai to phir insaan isko kyun control karna chahta hai iss ki ka'ee wajoohaat ho sakti hain maslan:

  1. Bohut si khawateen ki khwahish hoti hai kay unn kay bachon ki paeda'esh kay darmiyan do, arhaee saal ka waqfa ho kyun kay yeh unn ki aur unkay bachon ki sehat kay liye mufeed hai.
  2. Aksar jorey khandaan kay size ko chota rakhna chahtey hain taa' kay woh unki behter parwarish aur ta'aleem o tarbiyat kar sakein zyada bachon ko paalna, sambhalna ek mushkil kaam hai.
  3. Ba'az khawateen ko kuch tests ki madad sey ilm ho jata hai kay unn kay bachey normal nahin hongey iss surat mein woh hamal sey ehtiraaz karti hain.
  4. Walaedaen ki ba'az beemaariya'n bachon ko muntaqil ho sakti hain iss surat mein bhi bachon ki paeda'esh ko control kya jata hai.
  5. Ba'az auqaat maa'n ki kharab sehat bhi iss baat ki ijazat nahin deti kay woh mazeed bachey paeada karey.
  6. Mulazimat paesha khawateen bhi zyada bachey nahin chahtiin kyun kay ek waqt mein ek hi kaam behter tor per ho sakta hai bachon ki parwarish aur tarbiyat ya job

No comments:

Post a Comment