Pages

Monday 8 August 2011

Avoiding Sex In Marriage - Treatment

D. Agar donon mian biwi iss bunyad per sex karney sey ghabratey hain kay kahin mustarid na kar diye jaein aur inkaar aur mustarid hona unko bura lagta hai to iss kay liye sex kay liye paeshgi din aur waqt muqarrar kya ja sakta hai. Iss surat mein pehel kartey waqt mustarid honay ka khatra nahin hota. Iss kay elawa paeshgi planning sey sex ko zyada khushgawar banaya ja sakta hai. Ab chu'n kay aap ney apney aap ko iss makhsoos moqa kay liye sex kay liye tayyar karna hai yeh cheez aap kay jinsi jazbaat ko paeshgi baedaar kar degi.

  1. Bister per jatey waqt ya imkaani pyar o mohabbat kay waqt ki larayion ko mukammal tor per control karna qadrey mushkil hai ta'hum shaoori koshish sey inn ko kam kya ja sakta hai aur bharpoor koshish sey khatm bhi kya ja sakta hai. Iss silsiley mein jora yeh taey kar ley kay sotey waqt ya sham ko ek khaas waqt kay ba'ad mutanazae mua'amlaat per guftugoo nahin karein gey. Iss silsiley mein jin ma'amlaat per jhagra honey ka imkaan ho inn per subah ya sa paher ko guftugoo kar li jaey ta'hum kisi bhi masley ko ek din kay liye multawi bhi kya ja sakta hai iss sey qayamat nahin aa jaegi agar aap koshish kay ba wajood jhagrey baghaer nahin reh saktiin to phir kisi mahir e nafsiyat ki madad lein.
  2. Ba'az auqaat maazi kay dukh aur khawand ka saabqa manfi ravayya jinsi qurbat mein madakhlat karta hai amooman aisey khayalaat aap kay control sey baher mehsoos hotey hain ba'az auqaat mehsoos hota hai kay woh aap ki khwahish kay bur aks paeda ho gaey hain ta'hum maazi kay dukh, runj, takleefein aur khawand ka manfi ravayyay ka yaad aana aap ki khushgawar

No comments:

Post a Comment