Pages

Monday 8 August 2011

Avoiding Sex In Marriage

Chuna'ncha apney jinsi ravayyey mein tabdeeli laney sey pehley yeh ma'aloom karein kay aap sex sey kis tarah pehlootahi (avoiding) karti hain note karein kay jab jinsi ta'alluqaat mumkin hotey hain to phir bachney kay liye aap kya karti hain ju'nhi mushahida karlein to foran note kar lein.

Sex sey bachney kay liye kya aap raat ko der tak kaam karti hain aur phir thak kar so jati hain kya aap donon kay soney kay auqaat ek doosrey sey mukhtalif hain aur aap ikatthey bister per nahin jatey aur na hi ikatthey jagtey hain? Kya aap bister per jatey waqt bila nagha apney khawand sey jhagra karti hain ya jab bhi aap ek doosrey kay qareeb hun to aap zaroor jhagarti hain. Kya aap shuru honay kay waqt khawand per tanqeed karti hain? Kya aap ko sex kay waqt purani naa khushgawar batein yaad aati hain jin per aap ko ghussa aata hai? Waghaera.

Jab aap ko ma'aloom ho jaey kay aap kis tarah sex sey pehlootahi karti hain to agla qadam yeh hoga kay aap iss per apney mian sey guftugoo karein aur inn ko tabdeel karney ki koshish karein iss silsiley mein ek doosrey ki madad karein shayad ab aap ko pehel karney mein sharmindagi mehsoos na hu. Aap ko kaee tarah kay khauf o khadshaat bhi ho saktey hain maslan yeh khauf kay shayad aap achi tarah sex na kar sakein yeh khauf kay ab shayad aap kay khawand kay liye aap mein koi kashish nahin inn khadshaat ko mian kay saath discuss karein iss sey yeh khadshaat bilkul khatam na hongey magar bohut hadd tak kam ho jaeingey inn ko kam karney kay liye mushtarka koshish karein

No comments:

Post a Comment