Pages

Monday 8 August 2011

Abortion - Miscarriage

Khuda ney mujhey betey ki surat mein naemat di magar meine na shukri ki ehsaas e gunah iss qadar zyada tha kay woh pagal ho gaee'n adviyat sey elaj karaya gaya to behter ho gaee'n magar dawa chortey hi phir wahi pehle wali kaifiyat ho jati kyun kay adviyat masley ko khatam nahin kartiin bul kay amooman daba deti hain. Humney nafsiyati elaj ki madad sey unn kay ehsaas e gunah ko khatam kya to woh Khuda kay fazal sey bilkul normal ho gaee'n ba'az auqaat maa'n ko bachaney kay liye abortion kara li jati hai.

Islam mein maa'n ki sehat kay paesh e nazar abortion kay elawa har tarah ki abortion gunah hai. Allah kay nabi kareem ney abortion ko qatal qarar diya hai Islam mein qatal hai. Humarey ba'az qadeem fuqha aur unn kay paerou'n aur ba'az mojooda ulmaa ney pehley teen maah kay ander ander abortion ko jaez qarar diya hai. In fuqha ka khayal hai kay inn dinon bachey mein jaan nahin hoti aur yeh jaan 12 hafton kay ba'ad daali jati hai inn ki yeh baat bilkul ghalat hai kyun kay baeza jun'hi baar aawar hota hai iss mein jaan parr jati hai agar iss mein jaan na ho to phir iski barhwatri kaisey hoti hai na janey iss saada si baat sey kyun sarf e nazar kya gaya doosrey alfaaz mein abortion humesha insani qatal hai chahey woh ek din ka hamal ho.

No comments:

Post a Comment