Pages

Monday 8 August 2011

13. kay kamo aur khidmat jo woh ghar kay liye anjam dey rahi hain enka aitraf karein aur inki tareef karein. Isey koi acha kam kartey dekhain aur phir isski khoob dil khool kar tareef karein. Aa'enda woh mazeed achai kam kareygi. Isey baatein kay isski wajah sey ghar ka system shandaar tareeqey sey chal raha hai. Aur ghar jannat ka namoona hai.

14. ko kabhi kabhi surprise dein. Issko achanaak khanaa, yeh ghumnay kay liye bahir ley jaeyn. Iss sey iss ko bey panah khushi miley gi. Yeh khushi poorey ghar ko effect karey gi.

15. kay saath mahmanoo jaeysa sulook karein. Agar mahmaan apkayyeha umbraella bhool jaeyn to aap kabhi mahmaan per negaative comments nahi karein gey. Iss tarhan woh carpet kharab kardey (tea gradey) to apka behaviour kaysa hoga. Zahir hai kay aap kahein gey kay koi baat nahi. iss behaviour ki ziyada haqdaar hai.

16. ko biwi samajhnay kay sath sath aap yeh bhi sochain kay woh apkay bachun ki maa hai. Aap apni biwi kay saath kis kisim ka sulook pasand karein gey. Wohi sulook apney bachun ki maa kay saath karein. Iss sey ghar ka mahool bohut pursukoon hoga.

17. saath wohi behaviour karein jo aap apney saath chaatey hain. Hadees hai kay "Banda iss waqt tak momin nahi ho sakta jab tak woh apney bhai kay liye woh pasand naa karein jo woh apney liye pasand karey". (Bukhari, Muslim).

No comments:

Post a Comment